Search This Website

WhatsApp Group ki puri jankari in hindi

 


Help to Hindi main aapka swagat hai aaj ki post mein bataenge WhatsApp group full information in Hindi WhatsApp group ki Puri jankari Hindi me agar aap Janna chahte Hain WhatsApp Group's complete information in Hindi me to bilkul sahi post padh rahe hain agar aap WhatsApp messenger use karte Hain to ye post sirf aapke liye hai jab Ham new join karte Hain to ek sawal man mein aata hai ki WhatsApp group kaise banate hain jab WhatsApp group aap banana Sikh jaate Hain to Aapke  group ko manage karne ke liye kisi  assistant ki jarurat mahsus nahi hota hai

WhatsApp group ki jankari ke bare mein baat karenge ki aap kaise WhatsApp group banaa sakte hain aapko usse kya fayda hoga Aur aap apne WhatsApp group mein Kaise kisi person ko add kar sakte hain ya kisi ko kaise group se bahar nikal sakte hainYa fir aap khud ko kaise kisi group se leave  kar sakte hain

To thoda sa jaan lete Hain Whatsapp ke bare me jankari dosto abhi ke waqt mein WhatsApp aap bahut popular messaging app hai aur ise lagbhag duniya mein Sabhi  smartphone mein users chalte Hain agar  aap dekhna chahe iski downloading Kitni hai to aap playStore per jakar dekh sakte hain Yah app billions main download hain Aur Ho bhi kyu na WhatsApp ki madad se ham log apne friend aur family relation se digitally zure rahte hain Aur yah app bilkul free hai aap WhatsApp Ka istemal karke apne kisi dost ya family membar se baat kar sakte hain ya othar person se baat kar sakte hain par sarath ye hai ki aapke phone mein us person ka number hona chahye jisse aapko baat karti hai ab aap is par video calling bhi baat kar sakte hain aur iska Koi Paisa bhi nahin lagta par aapka internet data use hota hai Kyu ki ye internet par nirbhar hain

Ek WhatsApp group me 2 admin ya multiply admin kaise banaye group ka niyam kaise banaye aise hi WhatsApp
Group se related important jankari yaha share Kiya jayega Jisse ek group owner ko jarur Janna chahiye Aap is post ko pura badhiye ismein WhatsApp group admin Ke liye bahut kam ki jankari Diya ja raha hai

Doston WhatsApp group banane ke sath sath use acche se manage bhi karna aana chahye group main bahut sare member hote Hain sabko handle karna yani WhatsApp group ka niyam banana Group admin ki zimmedari hai 1 visitor ne comment karke bola ki mera ek popular group tha ek member ne mujhe hi group se remove kar diya aur mera group hathiya liya

Is post mein aise hi unknown problems se se bachne ke liye bhi aapko jaruri bate bataye jayegi Koshish rahega aapko WhatsApp group Ke behtar Operations Ke liye Sabhi jaruri jankari aur Whatsapp ke future Ki jankari  provide kar saku


Full information related to Whatsapp Group in Hindi 



Yaha aapko WhatsApp group create karne se lekar member add or remove Karne ki jankari Diya ja raha hai sath hi groups ke liye jaruri important jankari bhi diya jaega jise aapko jarur Janna chahiye

1 WhatsApp group kaise banate hain


Ham shuru karte Hain sabse pahle ham janege ki WhatsApp group create kaise karte agar aapane ise pahle hi banaa liya hai to next topic per move karte Hain

Group create karne ke liye sabse pahle upar meenu option Upar right side mein main 3 dots par jaye aur new group par click Kare

https://faq.whatsapp.com/iphone/chats/how-to-create-and-invite-into-a-group/?lang=en


Ab aapko apne group mein member add karke group ka icon set karna hai aur aur group ka naam dena hai jo aap rakhna chahte Hain Ise aap kabhi bhi change kar sakte hain Donon chijen set karne ke bad next kar dijiye aapka WhatsApp group create Ho Gaya

2 WhatsApp group ka admin kaise bane


WhatsApp ke new users Ke man bahut sawal aata hai ki WhatsApp group ka admin kaise bane iske liye aapko niche diye Gaye step ko follow kare

Step1. Aap apne khud ka WhatsApp group banaye jaise hi aap group banayenge vaise hi group admin Ban jaenge

Step2. Agar aap kisi dusre ke WhatsApp group ka admin banna chahte Hain tab us group ke owner matlab admin se request karna padega kyun ki vahi admin power de sakta hai matlab aapko banaa sakta hai group admin


3 WhatsApp group ke rule in Hindi


WhatsApp group niyam in Hindi main banana bhi jaruri hai kyunki ki Bina group niyam banaye Aapke group mein faltu ke Post photo aur video share honge isiliye aap kuch is tarah WhatsApp group rules banaa sakte hain

  1. Sabhi member group se related post hi photo aur video share karega
  2. Sabhi member aapas mein friend ki tarah rahega  jhagra ki sthiti nahin aani chahye
  3. Group mein koi bhi post share karne se pahle ek bar jarur soch le ki yah post is group ke layak hai ki nahin
  4. Sabhi member group admin ke nirdesho ka palan Karen
  5. Group admin kabhi bhi member ko group se Bina Koi suchna ke group se remove kar sakta hai
  6. Group ke niyam nahi palan karne per ek bar notice dene ke bad group se hamesha ke liye remove kar diya jayega
  7. WhatsApp group ke niyam samay samay per change hote rahenge



4 WhatsApp group mein member kaise add karte hai 



Group create karne ke baad aap ko Baad main bhi member add karne ki jarurat paregi so Ise bhi aapko Janna jaruri hai Member add karne ke liye


  • WhatsApp group open kijiye
  • Minu option upar right side mein 3 dots per jaaiye
  • Next aapko group info per jana hai
Ab aapko Add participants ka Option milega yahan click kijiye apne contact mein jise add karna chahte hain use add kare


5 WhatsApp group invite link kaise banaye


How to Create a WhatsApp Group Link in Hindi WhatsApp group invite link kaise banaye aur WhatsApp group invite link kaise send Kare iski jankari step by step Diya gaya hai ise bhi jarur padhe

WhatsApp group main member add karne ka ye aasan tarika hai Ham aapko group ka invite link create karke kisi bhi link
through join kara sakte hain


  • Apna group open kijiye
  • Menu option per click kijiye
  • Now go to group info} add participants
  • Ab aapko invite to group via Link option milega



Yahan per click karne per aapko invite link mil jayega Is link ko aap kisi ko bhi share karke group mein join kara sakte hain


6 WhatsApp group me member ko remove kaise kare


WhatsApp group ka han ye bhi aham hai part hai aapke groups main bahut sare member honge aur aapke WhatsApp group ke niyam bhi honge KiAapke group mein kis type subject se related post kiye ja sakte hain aur kya post nahin kiya ja sakta

Sabhi member ko group mein ruls follow karana group admin ki jimmedari hai lekin bahut sa Member aise bhi aapko milenge Jo bar bar hidayat dene ke bad bhi subject se hat kar post karenge aise mein member ko group se remove karna jaruri ha


  • Iske liye apna group open kijiye
  • Minu option upar right side mein 3 dots Click Karen
  • Ab group info per click kijiye
  • Yahan aapke group ke sabhi member ki list milega
  • Aap jis number ko remove karna chahte hain Us par long press dava kar rakhna hai kuch der
Ab aapko bahut sare options milenge is mein aapko remove ke option par click karke use member ko aasani se remove kar dena hai


Agar galti se koi member remove ho jaaye to fir se add kar sakte hain iski jankari upar bataya gaya hai


7 WhatsApp group me admin yani multiple admin kaise banaye


Group admin yani pure group ki jimmedari Sabhi member ko group ke ruls follow Karana Member add aur remove etc in sab ke liye admin ko jyadatar online rahana padega Tabhi ye Sabhi jimmedari acche se nibha payenga

Lekin ek person ke liye possible nahin hai to Kya Kare iske liye group admin apna sahayak admin banaa sakta hai yani Group manage karne ki power Apne group ke kisi bhi member ko de sakte hain aap jise bhi apne group ka co admin banate hain Use wo Sabhi power miljaega Jo aap ko Mila hain 

  • Iske liye apna group open kijiye
  • Group info per jaaye
  • Yahan aapko Sabhi member ka list milega ab jise bhi admin banana chahte HainUse per long press kijiye
Ab aapko bahut se option milenge Is mein aapko make group admin ke option ko click kar Dena hai


Is tarah aap jitna chahe apne group ke liye admin banaa sakte hain lekin is baat Ka dhyan rakhe ki co admin sirf trusted members ko hi banayeJis per aap bharosa karte Hain kyunki ye kisi bhi member ko add remove kar sakte hain Aapko bhi


8 WhatsApp group main upyogi jankari ko surakshit kaise rakhen


Ye bahut bari pareshani hai WhatsApp group ki Ham jyadatar group mein add rahte hain ismein bahut se important post bhi aate honge jise aapko future main jarurat pad sakti hai but aaj WhatsApp group ruls Kara kitni bhi kyon Na Karo Bekar ke post nahin Ban sakte


In sab ke bich jo important post kahin kho sha jata hai Bematlab ke post se pareshan hokar ham group Ke pure chats ko hi clear kar dete Hain Aise mein aapka jaruri post bhi clear ho jata hai Jo important tha

Iska solution hai WhatsApp ka star futures iske liye group main Aise post Jo future main kam as sake Use per star laga de

  • Post per star lagane ke liye use post per long press dava kar kuchh der rakhen
  • Phir sabse upar aapko star ka icon per click kar dijiye



Is tarah jaise hi aapke WhatsApp group mein important post Aaye use per star laga de ab aap apne group ka chat clear karenge to Keep standard message ka option per chek mark laga de Ise chek mark rahane hi de aur clear chat kar de

Is tarah group ke Sabhi unwanted post clear ho jaega aur aapke Sabhi important post jis per aapane star lagaya tha keval vahi post Bach jaenge agar aap kisi bhi post per se star  icon hatana chahte Hain to

  • Simple us post per long press kijiye
  • Upar icon star per click karke hata sakte hain


Is tarah ham Star icon future ka upyog karke bahut aasani se groups ke post ko manage kar sakte hainAur aur important post ko safe rakh sakte hain

Aap Sabhi standard message ko ek jagah per dekh sakte hain iske liye

  • Whatsapp ke home page par jaaye
  • Menu option per click Karne per standard message ke option per click karna hai
  • Yahan per standard laga Sabhi post ek sath milenge


9 WhatsApp group se kaise nikale yani lift kaise le


Aap bahut se group mein bhi Jude honge Koi log bematlab ke group banakar ke add kar lete hain Aise bahut sare group hai jisme only time pass message aate honge Agar aap bhi kisi group se pareshan hai to Aise mein kya karna chahye 

  • Iske liye use group ko open kijiye jis mein aap aap remove  hona chahte Hain
  • Minu open par jaye next group info par jana hai
  • Ab sabse niche exit group ke option per click karke group lift Le sakte hain


10 Important WhatsApp group ka shortcut kaise banaye


Ham bahut sare WhatsApp groups mein Jude rahte hain aise mein apne manpasand group ko jyada dekhte hain iske liye hamen WhatsApp open karke us group tak Jana parta hai

Jab aap is group ko use karte Hain to kyon Na ise homepage par rakha jaye Jise Cable one click mein WhatsApp group open Kiya ja sake Iske liye ye aap kisi bhi group ka shortcut banaa sakte hain

  • Shortcut banane ke liye us group ko open kijiye
  • Menu option per jaaye
  • AB group info more add shortcut ko select Karen

Ab aap dekhenge is group ka icon aapke mobile homepage per Gaya hai Ab apne manpasand group ko one click mein open kar sakenge ISI tarah aap apne contact ka bhi  shortcut banaa sakte hai


11 WhatsApp group main add Sabhi member ka ek sath mobile number kaise nikale


Aap kisi group ke admin ho yaa member ho agar aapko group se Jude members ki jankari chahiye to group info par jakar dekhna parega Lekin is method se aap us group ke sabhi member ka ek sath Mobile number dekh sakte hain Aur pata kar sakte ho Ki Is group se kaun kaun Jude Hain

  • Iske liye group ko open kijiye
  • Iske bad type aap kijiye @ bas aapko Sabhi members ke  mobile number mil jaenge



12 WhatsApp group me kiye Gaye mere post ko kis kis ne dekha kaise Jane


WhatsApp group mein Post karne par agar kisi ka reply na aaye to Lagta hai Sabhi offline hai kisi ko post nahin mila hoga Lekin aap bahut aasani se pata laga sakte hain Lekin aapke dwara kiye Gaye post ko kisko kisko deliver hua hai kis kis ne read kar liya hai kisne dekha hai aur kisne nahin dekha

  • Iske liye ye aapke dwara kiye post par long press dabakar rakhna hai
  • Ab aapko upar info icon milega is icon par click Kare




Ab aapko Sabhi detail mil jaega ki kisko kisko aapke post deliver ho chuka hai kis kisko deliver nahin hua aur aur kis kis ne read Kiya hai

13 WhatsApp group mein kisi post ko search kaise kare


Group mein itne sare message aate Hain Ki kuchh jaruri 1 ya 2 pahle ki post ko dhundhna mushkil ho jata hai Aise mein Ham group ki post ko search kar sakte hain Purana post bhi bahut aasani se mil jaega

  • Iske liye group open kijiye
  • Minu open par jaaiye
  • Now go to group info search



Ab aap  upar search bar mein group se related post world type Karke search kijiye Aapko Sabhi Aise post mil jaenge jismein type kiye Gaye word Ho Is tarah aap aasani se old post ko find out kar sakte hain

14 WhatsApp group ko delete kaise kare

Doston aapko WhatsApp group banane se lekar use manage karne tak ki Sabhi jankari upar aapko de chuka huAb aapko yah bhi Janna bahut jaruri hai ki group ko delete kaise kare group aap ke member se banta hai isliye aapko agar delete karna pade to iski bhi jankari jarur hona chahiye WhatsApp group delete kaise kare

Agar aap apne group ko delete karna chahte hain to

  • Pahle Sabhi members ko one by one group se remove kijiyeremove karne ki jankari upar Bata chuka hun
  • Jab Sabhi members remove Ho jaaye aur sirf aap akele bacche ho aap bhi group se lift ho jaaye Lift lene ki jankari bhi upar Bata Chuka
Ab Group se left lene ke bad delete group ka option milega Uspar click Karke group delete kar dena



Group delete karne mein savdhani varte ki ki pahle khud Hi lift lekar group delete na Kare Aisa karne par aap hi khud group se remove honge Baki members rah jaenge pahle one by one Sabhi members ko remove Karke aap lift lijiye

15 WhatsApp group kaise Jude


Agar aap kisi dusre WhatsApp group mein judna chahte Hain tab aap bahut aasani se group join kar sakte hain iske liye do tarika hai

  • Group admin request bhej kar
  • WhatsApp group join link dwara

Aaj WhatsApp group se judne ke liye invite link ka istemal Kiya jata hai Aap yahan se kuchh behtarin WhatsApp group join link check kar sakte hain



Doston is post mein WhatsApp Group's complete information in Hindi WhatsApp group banane se lekar WhatsApp group ki puri jankari Hindi me WhatsApp group kaise banate hain iski jankari acchi lagi to apne doston ke sath share jarur Kare aur agar aapko WhatsApp group banane main Koi pareshani ho to comment box mein comment jarur Kare


To Get Fast Updates Join Our Social Media: Telegram | WhatsApp | Facebook

0 comments:

Post a Comment

Please Comment Your Questions, Queries or Suggestions

Categories

Popular Posts